
Farq nikala bahot jo bas kiya
Dil ne hum ko misal-e-aina
Ek aalam se ru-shinas kiya
Kuch nahi sujhata hamen us bin
Shauq ne hum ko be-havas kiya
Subah tak shama sar ko dhundhati rahi
Kya patange ne iltemas kiya
Aise vahashi kahan hain ae khuban
‘MEER’ ko tum ne abas udas kiya...